Tag Archives: Aishwarya Rai

Ae Dil Hai Mushkil – Arijit Singh

Ae Dil Hai Mushkil – Arijit Singh
Tu sukoon mera
Hai tu hi meri manzil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil

Bollywood Hits 101 | CatchItFirst

Download our app for more exclusive updates!iOS|Android

More from Arijit Singh
Mere Sohneya – Arijit Singh | Kabir Singh
Ghungroo – Arijit Singh
Pachtaoge – Arijit Singh

Ae Dil Hai Mushkil – Arijit Singh Mp3 Song Lyrics

Tu sukoon mera
Hai tu hi meri manzil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil

Tu mera Khuda
Tu hi duaa mein shaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil

Mujhe aazmaati hai teri kami
Meri har kami ko hai tu laazmi
Junoon hai mera
Banoon main tere qaabil
Tere bina guzaara
Ae Dil Hai Mushkil

Yeh rooh bhi meri
Yeh jism bhi mera
Utna mera nahi
Jitna hua tera

Tune diya hai jo
Woh dard hi sahi
Tujhse mila hai toh
Inaam hai mera

Mera aasmaan dhoondhe teri zameen
Meri har kami ko hai tu laazmi

Zameen pe na sahi
Toh aasmaan mein aa mil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil

Maana ki teri maujoodgi se
Ye zindagani mehroom hai
Jeene ka koi dooja tareeka
Na mere dil ko maaloom hai

Tujhko main kitni
Shiddat se chaahun
Chaahe toh rehna tu be-khabar
Mohtaaj manzil ka toh nahi hai
Ye ek tarfa mera safar, safar
Khoobsurat hai manzil se bhi
Meri har kami ko hai tu laazmi

Adhura hoke bhi
Hai ishq mera kaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil

Ranbir’s Dialogue
Ek tarfa pyar ki taakat hi kuch aur hoti hai
Auron ke rishte ki tarah ye do logon mein nahi bant’ti, Sirf mera haq hai ispe

First Crush | CatchItFirst

Bulleya – Ae Dil Hai Mushkil

This has got to be one of the best songs of 2016, #Aishwarya looks simply stunning!!

This movie is sure to be a firecracker scheduled for this Diwali..

Featured Radio Stations:
Choose a station to suit your mood:

Lyrics:
Meri rooh ka parinda phadphadaye
Lekin sukoon ka jazeera mil na paaye
Ve ki karaan..
Ve ki karaan..

Ik baar ko tajalli toh dikha de
Jhoothi sahi magar tasalli to dila de
Ve ki karaan..
Ve ki karaan..

Raanjhan de yaar Bulleya
Sunle pukaar Bulleya
Tu hi toh yaar Bulleya
Murshid mera, Murshid mera
Tera mukaam kamle
Sarhad ke paar Bulleya
Parvardigar Bulleya
Haafiz tera, Murshid mera (x2)

Main taan gul se lipti titli ki tarah muhajir hoon
Ek pal ko thehroon, pal mein udd jaaun
Ve main tan hoon pagdandi
labhdi ae jo raah jannat ki
Tu mude jahan main saath mud jaaun

Tere kaarvan mein shamil hona chahun
Kamiya taraash ke main kaabil hona chahun
Ve ki karaan..
Ve ki karaan..

Raanjhan de yaar Bulleya
Sun le pukaar Bulleya
Tu hi toh yaar Bulleya
Murshid mera, Murshid mera
Tera mukaam kamle
Sarhad ke paar Bulleya
Parvardigar Bulleya
Haafiz tera, Murshid mera (x2)

Raanjhana ve…
Raanjhana ve…

Jis din se aashna se do ajnabi huve hain
Tanhaiyon ke lamhe sab multavi huve hain
Kyun aaj main mohabbat
Phir ek baar karna chahun
Haan…

Ye dil toh dhoondhta hai inkaar ke bahane
Lekin ye jism koi pabandiyan na maane
Milke tujhe, bagaawat khud se hi yaar karna chahun

Mujhme agan hai baaki aazma le
Le kar rahi hoon khud ko main tere hawale
Ve Raanjhna…
Ve Raanjhna…

Raanjhan de yaar Bulleya
Sunle pukaar Bulleya
Tu hi toh yaar Bulleya
Murshid mera, Murshid mera
Tera mukaam kamle
Sarhad ke paar Bulleya
Parvardigar Bulleya
Haafiz tera, Murshid mera (x2)

Murshid mera, murshid mera