Another soothing melody from Arijit Singh from the movie Azhar featuring Emraan Hashmi & Prachi Desai. There pairing reminds us of the previous romantic hit ‘Pee Loon’
Lyrics:
Tere dar pe aake tham gaye
Naina namaazi bann gaye
Ek dooje mein yun dhal ke
Aashiqana aayat ban gaye Main aur Tum
Kaisi dil lagaai kar gaye
Rooh ki rubaai bann gaye
Khaali khaali dono thhe jo
Thoda sa dono bhar gaye Main aur Tum
Chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Yunhi nahi main tumpe jaan deta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Mujhe tumse pyaar hai..
Lage na yeh dhoop zaroori
Lage na yeh chaanv zaroori
Milte hain ishq zameen par
Ab do hi naam zaroori Main aur Tum
Apna khuda bhi hoga
Apna hi Rab le lenge
Khud ki bana ke duniya
Ye zindagi jee lenge Main aur Tum
Chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Yunhi nahi main tumpe jaan deta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Mujhe tumse pyaar hai..
Ek tum, ek main, teeja maangu kya khuda se
Dil doon, jaan doon, kya doon itna bata de
Tera mera rishta hai saanson se bhi naazuk
Tum sa, hum sa, koi duja na hoga na hua re
Do dil sa ik seene mein hai jaise Main aur Tum
Ab dono hum ik jeene mein hain jaise Main aur Tum
Jaan se zyada chaha tumko piya re
Harpal, hardum, humdum tumko jiya re
Aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Yunhi nahi main tumpe jaan deta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Chalo ji aaj saaf saaf kehta hoon
Itni si baat hai mujhe tumse pyar hai
Mujhe tumse pyaar hai..
cool